|
Shayari |
|
Mai aur maikhanaa
|
Rah mein jab maikhanaa pada hai,
Dil ko bahut samjhanaa pada hai,
Gulshan, gulshan aaye the lekin,
Sehra, sehra jaanaa pada hai!
Kal jo chhalakta tha mehfil mein
Aaj Sare maikhanaa pada hai...Rah mein...
Khud ki khabar rakhta hai har pal
Naam magar deewana pada hai! Rah mein...
|
|
Dec 01 2008
|
By - Shreesh |
|
|
|
Jindagi khel raha hoon...
|
Jindagi khel raha hoon tere rukhsaar ke saath...
Jaise khele koi holi kisi beemar ke saath...
Main wo pencil hoon jisko nahi markaz ka pataa...
Daayare khinch rahi hai kisi parkar ke saath...
|
|
Dec 01 2008
|
By - Shreesh |
|
|
|
Khush Rahe Aap
|
Ugta huva suraj roshni de apko
khilta huva phool Khushbu de apko
Hum to khushi deina ka kabil nahi hai
denewala hazar khushiya de apko
|
|
Nov 10 2008
|
By - SK |
|
|
|
Nasha
|
Nasha ishq ka ho ya sharab ka
Nasha nasha hota hai,
Ek dil jab tak chot na khaye
Woh najane kya wafa hota hai.....
|
|
Nov 10 2008
|
By - apnisajankisajni |
|
|
|
Kudrat
|
safar to maine kiya tha, warna saz o saman us ke the. Main to bus razdan tha, warna to sare raaz us ke the.
Who dariya main pyasa baitha tha, jab key samandar tamam us ke the.
Who dhoop main baitha tha saya dene ko, jab ke darakth sare sayadaar us ke the.
Aur un to bazaari logon main risq maine bata tha, lakin dar parda sare haat us ke the.
Maine jab kamal bulandi par jake soncha OMER, yeh to sare kamal us ke the.
|
|
Nov 03 2008
|
By - Omer Khan |
|
|
|
Ghazal
|
Gazal ke shair hum khoon-e-dil se likhte hein,
jab kabhi likhte hein gazal dard bhari likhte hein.
Padhne wale tere aanso jhalak na jayen kahin,
isiliye har shair mein hum zikar-e-wafa likhte hein.
Pyar mein dhokhay aksar jala kar shama-e-wafa parwano pe ghazal likhte hein.
Daman-e-hasrat ke liye khud ko bhula bethay hein,
yaad jab wo aayen to tanhayi mein ghazal likhte hein.
|
|
Oct 30 2008
|
By - Danish iqbal |
|
|
|
NA JANAY AB WOH KESA HOGA
|
Kafi arsa beet gaya jane ab wo kesa hoga,
waqt ki sari kadwi baatein chup chap sehta hoga.
Ab bhi bheegi barish mein wo,
bin chaatri ke chalta hoga.
Mujhse bichde arsa beeta,
ab wo kis se ladta hoga.
Acha tha jo sath he rehtay,
baad mein usne socha hoga.
Apnay dil ki saari baatain,
khud se khud he kehta hoga.
|
|
Oct 30 2008
|
By - Danish iqbal |
|
|
|
Phir Main Hoon Aur Meri Tanhayi Hai
|
Phir main hoon aur meri tanhayi hai aur yeh shab hai jisne teri yaad ki shamma jalayi hai.
Jab sham ke saaye barhne lagte hein,
kuch ajeeb se jazbe bikharne lagte hein,
kabhi hathon ki sarsarahat shanoon par,
kabhi sar ka ehsas kandhoon par,
kabhi tumhari bahakti taiz saansen mil jati hein meri saanson mein,
kabhi tumhare badan ki khushbo sama jati hai meri sansoon mein.
Yeh kis ehsaas mein kho jata hoon,
yeh kis khayal mein gum ho jata hoon,
kabhi tumhare khanakte qahqahe gonjhte hein mere kanoo mein,
kabhi tumhare aansoun ki naami mehsoos hoti hai mere galoon mein,
sharma kar yun kabhi saherzada aankhon se dekhna tera,
aur achanak hath pakar kar ghabra kar bahoon mein sametna tera,
phir tere badan ki khushbo aur sansoo ki hararat mein tere khaboon mein kho jata hon,
isi kashmakash mein kuch dair soh jata hon,
yaka yak tere hathon ke lams se uth jata hon,
aur phir main hoon aur meri tanhayi hai yeh shab hai jis ne teri yaad ki shamma jalayi hai.
|
|
Oct 30 2008
|
By - Danish iqbal |
|
|
|
Khuwab Bikhaar Gaya
|
Ek khuwab tha jo bikhar gaya,
ek dard aa kar thehar gaya.
Main us se rothon kis tarhan,
meri rooh mein jo utar gaya.
Main haqiqaton se dar gaya,
main kaise khud ko samait loon,
main aanso ban kar bikhar gaya.
Bada shoq tha tujhe dekhne ka,
ab yaad ban kar thehar gaya.
Tere pyaar ka he mojza tera aaks tha main jidhar gaya.
Karon kaise na uska main shukriya,
mujhe ek shair wo kar gaya..
|
|
Oct 30 2008
|
By - Danish iqbal |
|
|
|
Bewafai
|
Kabhi tho ki hogi suraj ne chand se mohabat
Thabhi tho chand mein daag hai
Kabhi suraj se bhi hui hogi bewafai
Thabhi tho suraj mein aag hai
|
|
Oct 30 2008
|
By - Aisha |
|
|